Saturday, 15 August 2015

Hmmm....

Zindagi main tere aana tabeer e khawab hogaya.
Mehak gaye lamhe sare, har pal shadab hogaya.
Deed e sakoon ki aise, dekhna sairaab hogaya
Munkise Rukh yuun, be rukh mahtaab hogaya.
Khawab is pe ki main be shamil khawab hogaya
Ik apne nawaah e subuhh ka in-ti-khaab hogaya.
Neend se uthke, haqeeqat se hum khithab hogaya.
Har manzar,  pase manzar, manad sarab hogaya.
© Irfan Suhrawardy

Tuesday, 24 March 2015

Salab e Tahreer

Charag e toor reh guzaar na hua.
Phir apna koi gum gusaar na hua.

Araish e khayal se mutmain the sabi,
Hum ko mallal hai deedaar na hua.

Shamil o shareek ik yaar hum hue.
Jis yaar ka koi ikh-ti-yaar na hua.

© Irfan Suhrawardy